Rangi ko narangi kahein
Bane dhoodh ko khoya
Chalti ko gaadi kahein
Dekh, Kabira roya
Zindagi khwab hai
Khwab mein jhooth kya aur bhala sach hai kya?

Sab sach hai
Zindagi khwab hai
Dil ne humse jo kaha humne waisa hi kiya

Phir kabhi fursat se sochenge bura tha ya bhala
Zindagi khwab hai
Khwab mein jhooth kya aur bhala sach hai kya?
Zindagi khwab hai
Ek qatra mae ka jab patthar ke honthon par pada

Uske seene mein bhi dil dhadka yeh usne bhi kaha
Kya?
Zindagi khwab hai
Khwab mein jhooth kya aur bhala sach hai kya?
Zindagi khwab hai
Ek pyali bharke maine gum ke maare dil ko di, haaye
Ek pyali bharke maine gum ke maare dil ko di
Zeher ne maara zeher ko, murde mein phir jaan aa gayi

Kaise?